gham nahin jo luT gae hum aa ke manzil ke qarib

gham nahin jo lut gae hum aa ke manzil ke qarib
jaane kitni kashtiyan dubi hain sahil ke qarib

sarfaroshi meri koi rang dikhla jaegi
aa gaya hun ye irada le ke qatil ke qarib

sirf dil ki be-hisi thi fasla kuchh bhi na tha
jab kiya ehsas paya aap ko dil ke qarib

tum ne jo rakkha yun hi takhrib-karana mizaj
kaun aane dega tum ko apni mahfil ke qarib

rukte hain kab rokne se mauj-e-tufan ke 'guhar'
hausle wale pahunch jate hain sahil ke qarib


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close