us ki hun ya apni hun koi batae kis ki hun apne ghar mein rah kar bhi us ke ghar mein rahti hun ya phir wo hi sachcha hai ya phir main hi jhuti hun tanhai so jati hai aur main jagti rahti hun patthar baaten karte hain main bhi baaten karti hun wo to sidha-sada hai par main khud se darti hun