gham-nasibon ko kisi ne to pukara hoga is bhari bazm mein koi to hamara hoga aaj kis yaad se chamki teri chashm-e-pur-nam jaane ye kis ke muqaddar ka sitara hoga jaane ab husn lutaega kahan daulat-e-dard jaane ab kis ko gham-e-ishq ka yara hoga tere chhupne se chhupengi na hamari yaaden tu jahan hoga wahin zikr hamara hoga yun judai to gawara thi ye malum na tha tujh se yun mil ke bichhadna bhi gawara hoga chhod kar aae the jab shahr-e-tamanna hum log muddaton rah-guzaron ne pukara hoga ek tufan mein qarib aa gai apni manzil hum samajhte the bahut dur kinara hoga muskuraata hai to ek aah nikal jati hai ye 'tabassum' bhi koi dard ka mara hoga