gham se ghabra ke qayamat ka talabgar na ban itna mayus-e-karam ai dil-e-bimar na ban khwahish-e-did hai to tab-e-nazar paida kar warna behtar hai yahi talib-e-didar na ban mujhe manzur hai ye barq gira de mujh par mujh se begana magar ai nigah-e-yar na ban daman-e-haal ko bhi phulon se bhar de nadan sirf mustaqbil-e-rangin ka taraf-dar na ban bil-yaqin manzil-e-maqsud milegi mujh ko na-umidi tu meri rah ki diwar na bun hai rihai ki tamanna to gira de diwar qaid-e-zindan mein rahin-e-gham-e-diwar na ban laeq-e-hamd hai wo jis ki ziya hai un mein kam-nazar chand sitaron ka parastar na ban main khatawar hun to mujh ko mita de sayyaad sare gulshan ke liye bais-e-azar na ban aise iqdam ka hasil hai yahan nakaami bazm-e-saqi hai ye 'kashfi' yahan khuddar na ban