mahaul sazgar karo main nashe mein hun zikr-e-nigah-e-yar karo main nashe mein hun ai gardisho tumhein zara takhir ho gai ab mera intizar karo main nashe mein hun main tum ko chahta hun tumhin par nigah hai aise mein e'tibar karo main nashe mein hun aisa na ho ki sakht ka ho sakht-tar jawab yaro sambhal ke war karo main nashe mein hun ab main hudud-e-hosh-o-khirad se guzar gaya thukrao chahe pyar karo main nashe mein hun khud 'tarz' jo hijab mein ho us se kya hijab mujh se nigahen chaar karo main nashe mein hun