gham to tha phir bhi be-shumar na tha

gham to tha phir bhi be-shumar na tha
neza sine ke aar-par na tha

mere girne pe kyun hai istiajab
main to waise bhi shahsawar na tha

wo jo phirta tha le ke sher ki khaal
us ka mara hua shikar na tha

kaise rishte hain us ki maut ke baad
khun khud us ka sogwar na tha

hum bhi sairab ho chuke hote
matl-e-bakht abr-bar na tha

sakht-jaani rahi bahana hai
tera khanjar hi aab-dar na tha

main lada tha chala wo chal na saka
us pe haalanki koi haar na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close