gham us ko sari raat sunaya to kya hua ya roz uth ke sar ko phiraya to kya hua un ne to mujh ko jhute bhi puchha na ek bar main ne use hazar jataya to kya hua khwahan nahin wo kyun hi main apni taraf se yun dil de ke us ke hath bikaya to kya hua ab sai kar siphar ki mere mue gae us ka mizaj mehr pe aaya to kya hua mat ranja kar kisi ko ki apne to e'tiqad dil dhae kar jo kaba banaya to kya hua main said-e-na-tawan bhi tujhe kya karunga yaad zalim ek aur tir lagaya to kya hua kya kya duaen mangi hain khalwat mein shaikh yun zahir jahan se hath uthaya to kya hua wo fikr kar ki chaak-e-jigar pawe iltiyam naseh jo tu ne jama sulaya to kya hua jite to 'mir' un ne mujhe dagh hi rakkha phir gor par charagh jalaya to kya hua