idhar se jhankte hain gah udhar se dekh lete hain gharaz hum us ki surat sau hunar se dekh lete hain kiya hai bakht ne jis din se hum ko us ka ham-saya hum us rashk-e-pari ko apne ghar se dekh lete hain jo ho jate hain diwane tere itne naqabon par khuda jaane ki wo tujh ko kidhar se dekh lete hain hamein girya se wo fursat kahan jo khal-o-khat dekhen magar naqsha tera is chashm-e-tar se dekh lete hain hamare dekhne se kyun khafa hota hai ai zalim tera lete hain kya tuk ek nazar se dekh lete hain hamein us ku mein rahne ka nahin kuchh aur to hasil par itna hai ki gahe chaak-e-dar se dekh lete hain lagen hain dekhne jab 'mushafi' hum us ke kuche mein tuk ek phir kar bhi ruswai ke dar se dekh lete hain