gham uThane ke hain hazar tariq

gham uthane ke hain hazar tariq
ki zamane ke hain hazar tariq

ghair ke zikr par nahin mauquf
ji jalane ke hain hazar tariq

mehrbani ki ek rah to ho
gar satane ke hain hazar tariq

dil mein aaya hazar rah se gham
is thikane ke hain hazar tariq

un ko sau-sau bahane aate hain
har bahane ke hain hazar tariq

di hai mai us ne ghair ko juthi
munh lagane ke hain hazar tariq

'dagh' ab faqa-mast ban baithe
mang khane ke hain hazar tariq


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close