gham uThane ke waste dam hai

gham uthane ke waste dam hai
zindagi hai agar to kya gham hai

kahte ho kuchh kaho kahun kya khak
jaanta hun mizaj barham hai

girya-e-be-asar ki kuchh had bhi
hum hain aur aaj chashm-e-pur-nam hai

kya nae doston se bigdi aaj
dushmanon ka kuchh aur aalam hai

mujh ko dekha to ghair se ye kaha
umr is naujawan ki kam hai

gar khushi hai to wasl ki hai khushi
gham agar hai to hijr ka gham hai

sunte hain 'dagh' kal wo aae the
bare ab to suluk baham hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close