gham ye nahin ki gham se mulaqat hui gham hai ki rah-e-gham mein khurafat ho gai main ehtimam-e-majlis-e-adab mein raha kyun log uth gae hain ye kya baat ho gai mahaul jab tamazat-e-khurshid mein hua rut jaane kyun badal gai barsat ho gai wo waqia jo ruh ki gahraiyon mein tha wo baat ab to nazr-e-hikayat ho gai tanha thi meri sada-rawi su-e-zindagi phir sath mere gardish-e-haalat ho gai main fart-e-ehtiyat se guzra magar 'atiq' us par nigah az-rah-e-adat ho gai