baat karne ka nahin samne aane ka nahin wo mujhe meri aziyyat se bachane ka nahin dur ek shahr hai jo pas bulata hai mujhe warna ye shahr kahin chhod ke jaane ka nahin kya yunhi raat ke pahlu mein kategi ye hayat kya koi shahr ke logon ko jagane ka nahin ajnabi log hain main jin mein ghira rahta hun aashna koi yahan mere fasane ka nahin ye jo ek shahr hai ye jis pe tasarruf hai mera main yahan koi bhi diwar banane ka nahin baad muddat ke jo aaya tha wahi laut gaya ab yahan koi charaghon ko jalane ka nahin aane wali hai nai subh zara der ke baad kya koi rah-e-tamanna ko sajaane ka nahin