gham-zada hum hain ye kahna chhod do ya hamare sath rahna chhod do chahiye gar zindagani ka maza waqt ki lahron mein bahna chhod do shak karenge log ashkon par mere is tarah aankhon mein rahna chhod do zabt-e-gham achchhi alamat hai magar phir bhi tanhai mein rahna chhod do jitni mil jae khushi lete raho gham agar mushkil hai sahna chhod do dushmanon se kar lo samjhauta 'kiran' doston ka zulm sahna chhod do