zaban sakit ho qat-e-guftugu ho nazar hi se bayan-e-arzu ho jahan main hun wahan par tu hi tu ho jahan tu ho jahan-e-rang-o-bu ho shahid-e-naz yun hi surkh-ru ho shafaq munh par ho daman par lahu ho wafur-e-yas o josh-e-ibtila mein zaban par aayat-e-la-taqnatu ho jo rang-e-gul se tapka hai chaman mein na meri hi tamanna ka lahu ho harim-kaba se bhi mohtaram hai wo dil jis mein ki teri aarzu ho maaz-allah pas-manzar chaman ka na ai dil yun asir-e-rang-o-bu ho namaz-e-ishq kuchh aasan nahin hai jigar ke khun se pahle to wuzu ho hun khar-e-rah tak gulshan-ba-daman agar tu hi maal-e-justuju ho 'ghubar'-e-khasta us kuche se uth kar na kyun aawara har su ku-ba-ku ho