gham-zada kitna hamare zehn ka saya raha sang-zar-e-fikr-o-fan se khud ko takraata raha main tafakkur ke andhere ghaar mein baitha raha pas mere wahimon ke sher ka dera raha hirs ke khurshid ki aisi pazirai hui azmaton ke aasman ka rang phika sa raha lafz ki barish mein sari raushnai dhul gai waqt ka qirtas pahle ki tarah sada raha hat ke mehwar se khala mein kitne tare gum hue gardishon mein aagahi ka ek sayyara raha zindagi ki zahr-naki khatm ho jati magar khwahishon ke nag se main khud ko daswata raha hum ne 'jami' ghar ke andar aafiyat mahsus ki khauf ka saya pas-e-diwar lahraata raha