dil apna aab-ju-e-haqaeq ke pas hai mahrum kyon azal se mere fan ki pyas hai har lamha apna rang badalta hai ye jahan ab waqt ko bhi dekhiye mauqa-shanas hai mere yaqin ke raste tarik hain bahut ek azm ka charagh magar apne pas hai kahne lage ho mujh ko hi nang-e-wajud kyon dekho to sara shahr hi ab be-libas hai jo shisha-e-yaqin ko bhi yak-lakht tod de yaron ke hath mein wahi sang-e-qayas hai shayad anokha hadisa guzra hai raat ko suraj ka chehra subh se kitna udas hai