gham-zada main bhi nahin aur ghamin tu bhi nahin ab to paband-e-wafa main bhi nahin tu bhi nahin main bhi uftada-e-andaza-e-tamanna-e-hayat yani doshiza-e-firdaus-e-barin tu bhi nahin ai shafaq-khezi-e-ijmal-e-sahar sad-afsos aks-e-tariki-e-shab-ha-e-hazin tu bhi nahin main ki ham-zad-e-nashinan-e-harim-e-khast hae kashana-e-be-khas ka makin tu bhi nahin zinat-e-saya-e-diwar-e-makan mera guman aur koi bhi nahin saya-nashin tu bhi nahin ruh-e-pazh-murda-e-takhayyul lab-o-mushaf-e-naz is udasi ka sabab mere tain tu bhi nahin fitrat-e-gardish-e-alam-e-taghayyur se wara khugar-e-aish magar main bhi nahin tu bhi nahin