khwahish-e-mewa-e-tar ho ye zaruri to nahin har koi khuld-badar ho ye zaruri to nahin tesha-e-gham ko sanam-sazi-e-hasti se gharaz sang wabasta-e-dar ho ye zaruri to nahin main hun aaluda ba-khun-e-jigar-o-khak-e-jahan wo teri rahguzar ho ye zaruri to nahin kuchh jamal-e-kam-o-kaj-bini-e-khush-chashm bhi hai sab tera husn-e-nazar ho ye zaruri to nahin ai hunar-mand-e-jarahat talab-e-khama tujhe dawa-e-zakhm-e-hunar ho ye zaruri to nahin randa-e-halqa-e-aghosh pas andesha-e-jamal tera manzur-e-nazar ho ye zaruri to nahin lafz-e-sir mein mere erab taraaz-e-mukhlis zer ki ja pe zabar ho ye zaruri to nahin ye bhi malzum nahin to ho giraftar-e-khirad mujh ko bhi apni khabar ho ye zaruri to nahin baad-e-taqrib-e-tamannai-e-nazzara-e-tur taqat-o-tab-e-nazar ho ye zaruri to nahin aalam-e-be-khudi-e-ishrat-e-be-ghayat hai ruh masrur magar ho ye zaruri to nahin hai mai-e-shauq mein aamezish-e-talkhab-e-guman phir bhi takhfif-e-asar ho ye zaruri to nahin dil ba-afzaish-e-khuddari-e-ahang-e-sukhan khaef-e-ahl-e-nazar ho ye zaruri to nahin piri-e-ishq se hun sehat-e-mashuq-shikar dil tawana-e-jigar ho ye zaruri to nahin surat-e-qurb-e-musalsal bhi nikal sakti hai baam par umr basar ho ye zaruri to nahin bas ki ek waswasa-e-barg-e-khizan-dida hai khuld-e-imkan mein shajar ho ye ye zaruri to nahin inhisar-e-gham-e-hasti ba-gham-e-marg-e-hawas 'hadis'-e-khak-basar ho ye zaruri to nahin