ghamon ki bhid ne kuchla hai mujh ko shadmani mein lagana chahta tha tishnagi ki aag pani mein har ek shai ud gai meri hawaon ki rawani se simat ke rah gai khwahish wafaon ki jawani mein hamesha chashm mein rahna mujhe achchha nahin lagta main rahna chahta hun ai samundar tere pani mein teri basti ke mujre se teri auqat kya puchhun gadhe bhi sher ban jate apni mezbani mein main padh kar hosh kho baitha tere qisse ko ai furqat mohabbat ka nasha hai is shab-e-gham ki kahani mein wo pili odhni wali abhi bhi dil mein rahti hai ye ladka kho gaya hai us ke rang-e-zafrani mein wo jis din 'faiz' aaegi meri chaukhat pe milne ko usi din moajiza hoga meri bhi zindagani mein