khak mein kyun meri dastar milai hui hai main ne izzat badi mushkil se kamai hui hai chand kaghaz pe banana hai abhi ek mujhe abhi manzar mein faqat jhil banai hui hai titliyan roz hi aati hain unhen milne ko kis ki khushbu hai jo phulon ne churai hui hai jagna chahta hun der talak sath tere meri aankhon mein magar nind jo aai hui hai aap tanqid karen aap ka haq hai sahab ye ghazal 'mir' ko main ne to sunai hui hai is ko diwar pe main kaise laga dun 'ahmad' ek taswir jo sine se lagai hui hai