ghamon ko bhul jaana chahta hun unhen apna banana chahta hun bahut hi aazmaya tu ne hum ko main tujh ko aazmana chahta hun muqaddar jo bhi hoga hoga apna unhi rahon pe jaana chahta hun na roke bewafa koi khudara wafa par jaan dena chahta hun lahak ai aatish-e-husn-e-mohabbat main khud dil ko jalana chahta hun bana de aaina jis ko jahan mein wo dil par chot khana chahta hun 'sharar' aao chalen kuche mein us ke main dil ko phir dukhana chahta hun