in husn ke maron ke gham-KHane hazaron hain

in husn ke maron ke gham-khane hazaron hain
ek jumbish-e-abru mein paimane hazaron hain

kab hosh-o-khirad wale karte hain nazar un par
chhalke hue masti mein paimane hazaron hain

han naqsh-e-kaf-e-pa ko tu khud hi mita dena
ushshaq ke sajdon ko but-khane hazaron hain

kyon qais ko le baithe tum hosh-o-khirad wale
sahra-e-mohabbat mein diwane hazaron hain

hai kis ki nigahon ka jadu ye 'sharar' aakhir
diwanon mein jab shamil farzane hazaron hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close