ghamon mein hans ke bitana hai kya kiya jae yahi to sab ka fasana hai kya kiya jae uge hain jin ki hatheli mein saikdon kante unhin se hath milana hai kya kiya jae wo jin ka nam bhi lene se hont jalte hain unhen adab se bulana hai kya kiya jae hamari pyas ko kuchh bund aur samundar tak sulagti ret se jaana hai kya kiya jae jahan hawa ki mukammal ijara-dari hai wahin charagh jalana hai kya kiya jae nahin kisi ka mukhalif main aaj bhi lekin mere khilaf zamana hai kya kiya jae hazaron tanziya tiron ka aaj-kal 'tashna' hamara dil hi nishana hai kya kiya jae