main hun tera ya tu hai mera kuchh pata nahin itna hi bas mujhe hai pata kuchh pata nahin behtar yahi hai sab ki duaen samet lo kab aae kaam kis ki dua kuchh pata nahin pyasi hai mere dil ki zamin ye khabar to hai barsi kahan kahan pe ghata kuchh pata nahin jawon mein husn-e-yar ke gum ho gae the sab kab karwan-e-shauq luta kuchh pata nahin itna to mujh ko shab hai main us ke sath tha kab main hua hun khud se juda kuchh pata nahin sab log dhundne mein lage hain yahan wahan rahta hai sab ke dil mein khuda kuchh pata nahin rahta hun phir main us ke taaqub mein der tak deta hai kaun mujh ko sada kuchh pata nahin shohrat ke aasman pe chamakta tha jo kabhi suraj kahan ghurub hua kuchh pata nahin 'ashhar' asir main tha gham-e-rozgar ka kab ho gaya badan se riha kuchh pata nahin