ghamon ne is tarah ghera kabhi nahin hoga ye lag raha tha sawera kabhi nahin hoga unhen ka zikr hai din raat un ki baaten hain tumhaara dil hai ye mera kabhi nahin hoga tamam daulat-e-kaun-o-makan mile to kya to jis ka ho gaya, tera kabhi nahin hoga hamari san lo hamein dekh lo ki phir shayad idhar faqir ka phera kabhi nahin hoga diya hai apna lahu is qadar charaghon ko hamare baad andhera kabhi nahin hoga