guzare tum ne kaise roz-o-shab hum se khafa ho kar na hum ko ras aai zindagi tum se juda ho kar faqat ahl-e-junun waqif hain is raaz-e-haqiqat se hayat-e-jawidan milti hai ulfat mein fana ho kar kahan un ke dilon mein wo khalish soz-e-mohabbat ki tere tir-e-nazar se jo rahe na-ashna ho kar tumhaari bewafai ka fasana har zaban par hai zamane ko dikha do intiqaman ba-wafa ho kar fazaen mahak utthi hain teri zulfon ki khushbu se tere kuche se jab bhi aai hai baad-e-saba ho kar kisi ki bu-e-pairahan gulistan se guzarti hai shamim-e-jaan-fiza ban kar kabhi baad-e-saba ho kar 'nadim' is daur mein har gam par tan-o-malamat hain bahut dushwar hai duniya mein jina ba-wafa ho kar