ghamon se hijr ke kuchh aise bad-hawas rahe wo mil gae bhi to hum der tak udas rahe ye anjuman to sitam ko sitam hi samjhegi tera karam ki hamin-ham ada-shanas rahe wo chaak-damani-e-gul ka raaz kya jaanen bhari bahaar mein jo khar be-libas rahe junun hai ek jasarat junun hai ek tarang khirad nahin ki asir-e-umid-o-yas rahe na tutna tha na tuta ghurur-e-gumrahi pahunch gae bhi to manzil ke aas-pas rahe nigah tak to utha di kisi ne jam ke sath jo phir bhi rahti hai 'khawar' to apni pyas rahe