lab pe jhute tarane hote hain kya karen gham chhupane hote hain wo bhi kaise zamane hote hain jab qafas aashiyane hote hain yun hi aati nahin khushi ki bahaar saikdon gham uthane hote hain zindagi ka kuchh e'tibar nahin maut ke sau bahane hote hain is tarah baithta nahin chhup kar jis ko jalwe dikhane hote hain