ghamon se khelte rahna koi hansi bhi nahin na ho ye khel to phir lutf-e-zindagi bhi nahin nahin ki dil mein tamanna mere koi bhi nahin magar ye baat kuchh aisi ki guftani bhi nahin abhi main kya uthun niyyat abhi bhari bhi nahin sitam ye aur ki mai ki abhi kami bhi nahin adaen un ki sunati hain mujh ko meri ghazal ghazal bhi wo ki jo main ne abhi kahi bhi nahin huzur-e-dost mere gu-magu ke aalam ne kaha bhi un se jo kahna tha baat ki bhi nahin hamare un ke talluq ka ab ye aalam hai ki dosti ka hai kya zikr dushmani bhi nahin kaha jo tark-e-mohabbat ko shaikh ne khulla farishta to nahin lekin ye aadmi bhi nahin