galiyan tankhwah thahri hai agar bat jaegi aashiqon ke ghar mithai lab shakar bat jaegi ru-ba-ru gar hoga yusuf aur tu aa jaega us ki jaanib se zulekha ki nazar bat jaegi rahzanon mein naz-o-ghamza ki ye jins-e-din-o-dil jun mata-e-burda aakhir ham-digar bat jaegi hoga kya gar bol utthe ghair baaton mein meri phir tabiat meri ai bedad gar bat jaegi daulat-e-duniya nahin jaane ki hargiz tere sath baad tere sab yahin ai be-khabar bat jaegi kar le ai dil jaan ko bhi ranj-o-gham mein tu sharik ye jo mehnat tujh pe hai kuchh kuchh magar bat jaegi mung chhati pe jo dalte hain kisi ki dekhna jutiyon mein dal un ki ai 'zafar' bat jaegi