ghamon se yun wo farar ikhtiyar karta tha faza mein udte parinde shumar karta tha bayan karta tha dariya ke par ke qisse ye aur baat wo dariya na par karta tha bichhad ke ek hi basti mein donon zinda hain main us se ishq to wo mujh se pyar karta tha yunhi tha shahr ki shakhsiyyaton ko ranj us se ki wo ziden bhi badi pur-waqar karta tha kal apni jaan ko din mein bacha nahin paya wo aadmi ki jo aahat pe war karta tha wo jis ke sehn mein koi gulab khil na saka tamam shahr ke bachchon se pyar karta tha sadaqaten thin meri bandagi mein jab 'azhar' hifazaten meri parwardigar karta tha