ghar ka rasta jo bhul jata hun kya bataun kahan se aata hun zehn mein khwab ke mahal ki tarah khud hi banta hun tut jata hun aaj bhi sham-e-gham! udas na ho mang kar main charagh lata hun main to ai shahr ke hasin rasto ghar se hi qatl ho ke aata hun roz aati hai ek shakhs ki yaad roz ek phul tod lata hun hae gahraiyan un aankhon ki baat karta hun dub jata hun