ghamza nahin hota ki ishaara nahin hota aankh un se jo milti hai to kya kya nahin hota jalwa na ho mani ka to surat ka asar kya bulbul gul-e-taswir ka shaida nahin hota allah bachae maraz-e-ishq se dil ko sunte hain ki ye aariza achchha nahin hota tashbih tere chehre ko kya dun gul-e-tar se hota hai shagufta magar itna nahin hota main naza mein hun aaen to ehsan hai un ka lekin ye samajh len ki tamasha nahin hota hum aah bhi karte hain to ho jate hain badnam wo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota