ghamze ne us ke chori mein dil ki hunar kiya us khanuman-kharab ne aankhon mein ghar kiya rang ud chala chaman mein gulon ka to kya nasim hum ko to rozgar ne be-baal-o-par kiya nafe jo thin mizaj ko awwal so ishq mein aakhir unhin dawaon ne hum ko zarar kiya marta hun jaan den hain watan-dariyon pe log aur sunte jate hain ki har ek ne safar kiya kya jaanun bazm-e-aish ki saqi ki chashm dekh main sohbat-e-sharab se aage safar kiya jis dam ki tegh-e-ishq khinchi bul-hawas kahan sun lijiyo ki hum hi ne sina-sipar kiya dil zakhmi ho ke tujh tain pahuncha to kam nahin is nim-kushta ne bhi qayamat jigar kiya hai kaun aap mein jo mile tujh se mast naz zauq-e-khabar hi ne to hamein be-khabar kya wo dasht-e-khaufnak raha hai mera watan sun kar jise khizr ne safar se hazar kiya kuchh kam nahin hain shoabda-bazon se mai-gusar daru pila ke shaikh ko aadam se khar kiya hain chaaron taraf kheme khade gard-baad ke kya jaaniye junun ne irada kidhar kiya luknat teri zaban ki hai sahar jis se shokh yak harf-e-nim-gufta ne dil par asar kiya be-sharm mahz hai wo gunahgar jin ne 'mir' abr-e-karam ke samne daman tar kiya