tujhe hai mashq-e-sitam ka malal waise hi hamari jaan thi jaan par wabaal waise hi chala tha zikr zamane ki bewafai ka so aa gaya hai tumhaara khayal waise hi hum aa gae hain tah-e-dam to nasib apna wagarna us ne to phenka tha jal waise hi main rokna hi nahin chahta tha war us ka giri nahin mere hathon se dhaal waise hi zamana hum se bhala dushmani to kya rakhta so kar gaya hai hamein paemal waise hi mujhe bhi shauq na tha dastan sunane ka 'faraaz' us ne bhi puchha tha haal waise hi