ghaneri chhanw ke sapne bahut dikhae gae sawal ye hai ki kitne shajar ugae gae mili hai aur hi tabir aa ke manzil par wo aur khwab the raste mein jo dikhae gae mere lahu se mujhe munhadim karaya gaya dayar-e-ghair se lashkar kahan bulae gae diye bana ke jalai thin ungliyan hum ne andheri shab ki adalat mein hum bhi lae gae falak pe udte huon ko qafas mein dala gaya zamin pe rengne walon ko par lagae gae hamare nam ki takhti bhi un pe lag na saki lahu mein gundh ke mitti jo ghar banae gae mile the pahle se likkhe hue adalat ko wo faisle jo hamein baad mein sunae gae tamam sad sitare bigad gae 'azhar' sulagti ret pe jab zaiche banae gae