ghani-ghaneri raat mein darne wala main sannate ki tarah bikharne wala main jaane kaun us par bulata hai mujh ko chadhi nadi ke bich utarne wala main ruswai to ruswai manzur mujhe dare dare se panw na dharne wala main mere liye kya chiz hai tujh se badh kar yar sath hi jine sath hi marne wala main sab kuchh kah ke tod liya hai nata kya main kya bolun baat na karne wala main tarah tarah ke waraq banane wala tu teri khushi ke rang hi bharne wala main daim, abadi, waqt guzarne wala tu manzar, saya, dekh thaharne wala main