ghanim se bhi adawat mein had nahin mangi ki haar man li lekin madad nahin mangi hazar shukr ki hum ahl-e-harf-e-zinda ne mujaviran-e-adab se sanad nahin mangi bahut hai lamha-e-maujud ka sharaf bhi mujhe so apne fan se baqa-e-abad nahin mangi qubul wo jise karta wo iltija nahin ki dua jo wo na kare mustarad nahin mangi main apne jama-e-sad-chaak se bahut khush hun kabhi aba-o-qaba-e-khirad nahin mangi shahid jism salamat uthae jate hain jabhi to gor-kanon se lahad nahin mangi main sar-barahna raha phir bhi sar-kashida raha kabhi kulah se tauqir-e-qad nahin mangi ata-e-dard mein wo bhi nahin tha dil ka gharib 'faraaz' main ne bhi bakhshish mein had nahin mangi