sham-e-taklif ki duniya mein sahar ho to sahi hae kam-bakht kahin dard-e-jigar ho to sahi baithne wale na baithenge kabhi mahfil mein o sitamgar tere dil mein mera ghar ho to sahi dil-e-betab ka milna nahin mushkil lekin hath bhar ka kisi sine mein jigar ho to sahi hum ye samjhenge ki dil tha hi nahin sine mein un ki duzdida nigahon ka asar ho to sahi chhup gaya aankhon se ek nur bas itna kah kar kya batane mein harj tha koi ghar ho to sahi kah ke ye phir gai thin kahkashan se aankhen tujh se milti hui wo rahguzar ho to sahi phir dikhaunga main anmol jawahar 'alim' meri qismat se koi ahl-e-nazar ho to sahi