ghanimat hai hans kar agar baat ki yahan kis ne kis ki mudaraat ki ghutan kyun na mahsus ho shahr mein hawa chal padi hai mazafat ki nazar us ko main aata hun thik-thak use kya khabar mere haalat ki hamin aaj haq se bhi mahrum hain hamin par thi barish muraat ki muqaddar to mera sanwaroge kya! lakiren mita do mere hat ki ziyan hi ziyan hai faqat nafi mein koi aur surat kar isbaat ki mukammal nahin yun to koi wajud kami mujh mein hai kaun si baat ki