roz ke intizam se pahle

roz ke intizam se pahle
main ne kal pi li sham se pahle

ghunt bharne pe hosh aaya tha
main nashe mein tha jam se pahle

kya karun ab zaban se meri
ram nikalta hai ram se pahle

dil mera ab sharab mange hai
kaam ke baad kaam se pahle

kuchh pilane ka bandobast karo
tum mere ehtiram se pahle

chashm-e-hasrat ko padh ke dekho tum
kya ye mange salam se pahle

zindagi ko talashta hun main
maut ke ehtimam se pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close