ghar banane mein tamam ahl-e-safar lag gae hain kya tamashe ye sar-e-rahguzar lag gae hain tod kar band-e-qaba jism uda jata hai kaise is khak ki diwar ko par lag gae hain sirf ek tujh se bichhadne ka nahin khauf hamein sath mein ab ke kai aur bhi dar lag gae hain sabza-e-mutazir is darja numu ko pahuncha dekh hum dar pe tere misl-e-shajar lag gae hain jashn-e-girya to kiya tha meri aankhon ne shurua sath ab shahr ke sab dida-e-tar lag gae hain kaisi afwah udi tujh se mere rishte ki sab tere chahne wale mere ghar lag gae hain husn to hai hi nai tarah se aatish-angez aaine ko bhi nae barq-o-sharar lag gae hain karkhana hai usi husn ka aalam sara bas jidhar us ne lagaya hai udhar lag gae hain jis ki padash mein hai dar-ba-dari ka ye itab phir usi kaam pe hum shahr-badar lag gae hain 'farhat-ehsas' main kya dekha jo us ke pichhe aankhen dikhlate hue ahl-e-nazar lag gae hain