mera khamosh rah kar bhi unhen sab kuchh suna dena zaban se kuchh na kahna dekh kar aansu baha dena nasheman ho na ho ye to falak ka mashghala thahra ki do tinke jahan par dekhna bijli gira dena main is haalat se pahuncha hashr wale khud pukar utthe koi fariyaad wala aa raha hai rasta dena ijazat ho to kah dun qissa-e-ulfat sar-e-mahfil mujhe kuchh to fasana yaad hai kuchh tum suna dena main mujrim hun mujhe iqrar hai jurm-e-mohabbat ka magar pahle to khat par ghaur kar lo phir saza dena hata kar rukh se gesu subh kar dena to mumkin hai magar sarkar ke bas mein nahin tare chhupa dena ye tahzib-e-chaman badli hai bairuni hawaon ne gareban-chaak phulon par kali ka muskura dena 'qamar' wo sab se chhup kar aa rahe hain fatiha padhne kahun kis se ki meri sham-e-turbat ko bujha dena