ghar chhoda be-samt hue hairani mein kaise kaise dukh jhele nadani mein taza hawa mein us ke nafas ki khushbu thi qatra qatra dub gaya main pani mein kis ne joda kyun joda mazkur nahin us ka qissa meri ram-kahani mein chand ko aage badhna auj pe jaana tha tare tute pal pal ain jawani mein kaisa tha wo paikar-e-khubi kya kahiye aaina do lakht hua hairani mein dil pe achanak sabt hua ta-umr raha aisa bhi ek aks mila tha pani mein sari ghazlen ek jaisi hi lagti hain kya rakkha hai 'nami' jashn-e-maani mein