jab na tab suniye to karta hai wo iqrar baghair guftugu hum se use par nahin inkar baghair bazm mein raat bahut sada-o-pur-fan the wale garmi-e-bazm kahan us but-e-ayyar baghair dekh bimar ko tere ye tabibon ne kaha ho chuki us ko shifa sharbat-e-didar baghair jaan par aa bani hamdam meri khamoshi se baat kuchh ban nahin aati hai ab izhaar baghair jis ki khatir ke liye yar sab aghyar hue kyun ki 'diwana' bhala rahiye ab us yar baghair