ghar hua gulshan hua sahra hua har jagah mera junun ruswa hua ghairat-e-ahl-e-chaman ko kya hua chhod aae aashiyan jalta hua husn ka chehra bhi hai utra hua aaj apne gham ka andaza hua pursish-e-gham aap rahne dijiye ye tamasha hai mera dekha hua ye imarat to ibaadat-gah hai is jagah ek mai-kada tha kya hua gham se nazuk zabt-e-gham ki baat hai ye bhi dariya hai magar thahra hua is tarah rahbar ne luta karwan ai 'fana' rahzan ko bhi sadma hua