ghar ke bahar bhi to jhanka ja sakta hai aur kisi ka rasta dekha ja sakta hai raat guzari ja sakti hai tare gin kar din mein chadar tan ke soya ja sakta hai shikwe dur kiye ja sakte hain yaron se is sunday ko phone ghumaya ja sakta hai us ke jaisa hi ab kuchh hasil hai mujh ko ab us ki khwahish ko chhoda ja sakta hai waise paisa hi sab kuchh hai is duniya mein lekin paise par bhi thuka ja sakta hai wada karne mein kaisi ghabrahat pyare wade se ek pal mein palta ja sakta hai mere an-dekhi karne ka hai kya karan kam se kam us se puchha ja sakta hai main apne chehre se thoda ub gaya hun kya apna chehra bhi badla ja sakta hai sher kahe ja sakte hain paripati wale aur zaminon par bhi socha ja sakta hai dhire dhire zalim ki jad khodo 'saurabh' rassi se chattan ko kata ja sakta hai