pahuncha main ku-e-yar mein jab sar liye hue

pahuncha main ku-e-yar mein jab sar liye hue
nazuk badan nikal pade patthar liye hue

ai dost zindagi ki mujhe bad-dua na de
main khak ho chuka hun muqaddar liye hue

chalti hai raundti hue pal pal mera wajud
har sans khwahishat ka lashkar liye hue

parchhaiyon ke des mein be-asl kuchh nahin
manzar bhi hai yahan pas-manzar liye hue

guzri hai raundti hui lamhon ka qafila
'tariq' ki musht-e-khak hai mahshar liye hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close