ghar ke darwaze khule hon chor ka khatka na ho be-sar-o-saman koi shahr mein aisa na ho tirgi ke ghaar se bahar nikal kar bhi to dekh us zamin ki kokh se suraj koi nikla na ho main ki goya bhi na ho paya kisi diwar se rah gaya chup soch kar shayad koi sunta na ho dasht mein jaane se pahle apne dil mein jhank lo khub-surat jism ke andar koi koi sahra na ho ehtiyatan dekh hi lo dam-ba-khud kyun rah gae tum jise diwar samjhe ho wo darwaza na ho main ki duniya ki har ek shai mein hua hun aashkar dekh tere aaine mein bhi mera chehra na ho mod hain har har qadam par kis se puchhen rasta phir raha hun shahr mein jaise koi diwana ho ye akela-pan to 'shahid' shahr ka aashob hai ya koi tanha na ho ya har jagah virana ho