ghar ki khidki mein sar-e-sham diya rakhta hai kis ke aane ki wo ummid laga rakhta hai us se takra ke balaen bhi palat jati hain sath apne jo buzurgon ki dua rakhta hai ek muddat se musalsal hai talash-e-rishta waqt kab dekhiye hathon pe hina rakhta hai us ki rahmat se na mayus kabhi tum hona pyar bandon se wo maon se siwa rakhta hai kyon nahin sikhta insan qanaat ka sabaq ek parinda to batao jo bacha rakhta hai rakh nahin sakta kabhi rehn gharibi apni apne andar jo zara si bhi aana rakhta hai dekh 'sahil' wahi paega yaqinan manzil ho ke nakaam bhi jo azm naya rakhta hai